Computer ki screen, yeh chuhe sa mouse
Yeh key board aur yeh sharbat ka glass
Kuch nahi keh raha hai……
Bas yeh speakers koi gaana gun guna rahe hai,
Hindi, telgu angrezi ya gujrati
Bhasha koi bhi ho…agar geet pasand na aaye toh geet badal deti hoon
Par yeh bichare speakers ko thakne nahi deti hoon
Raat- din- raat bijli jalati hoon
Is orkut pe baith kar kya ukhad paati hoon?
Agar kuch bijli… mein bhi bachalu
toh who Vidharbh mein baitha kisan atmahatya na kar payega
Yeh jaan kar bhi roz facebook ka who web page khol dalti hoon
Is .com se kab bahar aayenge?
Virtuality mein jeete jeete reality ko kab apnayenge?
Materialism ki baatein karte hain har roz….
mc. donalds mein burger khate hai har roz…..
ravi shnkar kaun hai yeh toh nahi jaante hai…
aerosmith ko sun ne ke liye banglore tak bhagte hai…
mein insaan hoon ya koi metal robot?
Kisi ki taklif ka karan toh nahi main,
Par kisi ki taklif ka hal bhi nahi main….
Keetabon ko padhte padhte
graphics ki duniya mein chali jaati hoon
keetabon mein bhi video game ka maza paati hoon
harry potter ko padhte padhte
harivansh rai ki keetab
book shelf ke kisi kone mein rakh aati hoon
mahadevi varma ki who kahaniya bhool gayi hoon main
aaj kal seagull ke saath puri raat bitati hoon
Kuala Lumpur...The city of Transit.
9 years ago
2 comments:
wow! Khushboo you write so well..its practical yet amusing..keep it up!
truly mind boggling....
dats wot aadhunik technologies hav done to us
we todays youth r aware but ignorant
--------------------
liked yor stuff
keep it rolling !!!
cheerz
Post a Comment