Monday, September 15, 2008

SHAITAN KISKE ANDAR NAHI HOTA?
Bas thoda sa fasla hota hai,
Is oor se dujji oor pauhochne ka.
Sadak ke us paar andhera hai, is paar ujyala
Aisa kaun kehta hai ki farishte sirf safed kapdo mein hi aate hai,
Aur shaitan kale kapdo mein mandrate hai.
Aksar andhere mein hi safed roshni ka pata chalta hai
Ujale ke bin kala saaya kabhi nahi padta hai
Farishte kis mein nahi hai?
Hum sab mein farishta bas ta hai,
Kuch sehma kuch ghabraya sa
Kuch dara dara, murjhaya sa
Kisi ne kaha ek kash le le,
Dar bhag jayega,
murjhaya hua phool phir khil jayega.
Kash pe kash, nashe ka jadoo
Farishta hua bekaboo
Phir kya ujyala, phir kya sadak
Sirf shaitan hi shaitan har taraf
Shaitan hum sab mein hai,
par bas thoda sa fasla hota hai
Sadak ke is par se us par jane ka.
Mein phas gaya hu, mujh mein shaitan bas gaya hai,
Ab mein sab jaga ujyala chahta hoon,
Har ache insaan ke upar kale saaye ki tarah mandrana chahta hoon.
Behlaunga, phislaunga aur phir bhi na mane toh kheech ke is paar launga.
Yeh shaitan mujh mein bas kar khush nahi,
Yeh mere dosto mein bhi basna chahta hai
Daru, nasha aur ladkiyan yeh sab tak pohchana chahta hai
Cigarette ke dhuen se har disha ko bhar dega
Woh sadak ke us par, us par ke farishto ko
Isi dhuein se chipaa dega
Ek shaitan hum sab mein basta hai,
Ek farishta sab mein rehta hai
Yeh zindagi ek jua hai
Bas dekhna hai kuan jeet ta hai
Farishta ya sahitan
© khushboo shroff

No comments: